Aur baazaar se le aaye agar TooT gaya
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai
[ saaGHar-e-jam = Badshah Jamshed's cup, jaam-e-sifaal = clay cup ]
unke dekhe se jo aa jaathi hai moonH par raunaq
wo samajhteN haiN ke beemaar ka haal achcha hai
[Raunaq: Beauty, Brightness, Light &Beemaar: Ailing, ill, Patient]
dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiZ
ik barhaman ne kaha hai ke ye saal achcha hai
[Ushshaaq: Lovers, But: Beloved, Idol /Faiz: Liberality, Grace, Profit
Barhaman: Brahmin, Learned Person]
humko maaloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ko khusH rakHne ko ‘GHalib’ ye khayaal achcha hai
Jannat: heaven, Paradise/Haqeeqat: Truth, Reality, Khayaal: Care, Imagination